PKSongPK

Hum sabko nek raah chalaanaa Lyrics

Dada 1979 album

Hum sabko nek raah chalaanaa

View the available lyrics, song information and playback source for Hum sabko nek raah chalaanaa from Dada 1979.



derben clove laptop bag

Play & Listen

SongSourcePlay & Listen
Hum sabko nek raah chalaanaa
Artist : Suman Kalyanpur
Save As
Hum sabko nek raah chalaanaa
Artist : Suman Kalyanpur
Save As

Hum sabko nek raah chalaanaa Song Lyrics

Song Lyrics Title = Hum sabko nek raah chalaanaa Song Lyrics Movie = Copy  of  Dada Singers = Suman Kalyanpur Song Lyricists = Gauhar Kanpuri Music Composer = Usha Khanna Music Director = Usha Khanna Director = Jugal Kishore Music Label = Saregama Starring = Vinod Mehra, Bindiya Goswami, Amjad Khan, Jagdeep, Shashi Puri, Jeevan Release on = 10th September, 1979 mp3 songs Hum sabko nek raah chalaanaa mere allaah Bandon ko buraai se bachaanaa mere allaah Allaah karam karnaa Maulaa tu reham karnaa Allaah karam karnaa Maulaa tu reham karnaa Ik vaakayaa sunaati hoon main apni zubaani Apne badon se maine sunee hai ye kahaani Rehtaa thaa kisi shehar mein ek aisa bhi insaan Jo naam ka muslim thhaa magar kaam ka shaitaan Zaalim ko zor e baazoo pe apne guroor thaa Yaani ke bekhudi mein khudaa se wo door thaa Sab log usey kehtey thhe jallaad sitamgar Maasoom ki fariyaad ka us pe na thhaa asar Jo waadaa us ne kar liyaa wo kar ke dikhaayaa Paison ke liye qatl kiye khoon bahaayaa Ik din wo behtaa khoon asar us pe kar gayaa Insaan zindaa ho gayaa shaitaan mar gayaa Allaah karam karnaa Maulaa tu reham karnaa Allaah karam karnaa Maulaa tu reham karnaa Imaan jisey kehte hain farmaan e khudaa hai Quraan ke har lafz mein us ki hi sadaa hai Allaah ne bakshi hai jo imaan ki daulat Ye sab se badi cheez hai insaan ki daulat Soye huye dilon ko jagaataa hai ye imaan Bhatke huyon ko raah dikhaataa hai ye imaan Imaan ki garmi se pighal jaate hain patthar Is noor se bantey hain sanwartey hain muqaddar Jo sab se pyaar kartaa hai insaan wohi hai Muslim hai wohi, saahib e imaan wohi hai Allaah karam karnaa Maulaa tu reham karnaa Allaah karam karnaa Maulaa tu reham karnaa Jis kaam ke karne pe na ho raazi koi dil Wo kaam bhi is duniyaa mein nafrat ke hai kaabil Jo kuchh bhi zubaan keh de wo iqraar nahin hai Laghzish hai labon ki wo gunehgaar nahin hai Jo dil se nahin kartaa buraai ka iraadaa Allaah se wo taubaa karey tod de waadaa Jaldi jo sambhal jaaye wo nadaan nahin hai Imaan jis mein ho wo beimaan nahin hai Duniyaa mein hameshaa to nahin rehtaa andheraa Insaan jahaan jaage wahin pe hai saveraa Allaah karam karnaa Maulaa tu reham karnaa Allaah karam karnaa Maulaa tu reham karnaa Jo sacche dil se kartaa hai imaan ki aarzoo Allaah ki nazaron mein wo hotaa hai surkh rooh Imaan mein kyaa kyaa na sahaa pyaare nabee ne Kyaa aisi museebat bhi utthaayee hai kisi ne Karbal ke shaheedon ne sabak hum ko padhaayaa Sajde mein de ke jaan ko imaan bachaayaa Iss raah mein jo sehtey hain taqleef o museebat Ik roz un pe hoti hai allaah ki rehmat Insaan hai wo jo doosron ka dil na dukhaaye Pad jaaye agar jaan pe to jaan lutaaye Allaah karam karnaa Maulaa tu reham karnaa Allaah karam karnaa Maulaa tu reham karnaa. Posted by : Priyanka Shukla

Hum sabko nek raah chalaanaa Video Song

No cached video is currently available for this song.
derben-clove-plain-tshirt


derben clove messenger bag

derben clove messenger bag

Song Information

Song
Hum sabko nek raah chalaanaa
Movie / Album
Dada 1979
Artist / Section
Suman Kalyanpur

Related Songs from Dada 1979

More songs available from the same movie or album.

Related Albums

More album collections from the same catalogue section.

About This Song Page

This page organizes the lyrics, available playback source and catalogue information for Hum sabko nek raah chalaanaa in one place.

PKSongPK does not store copyrighted MP3 or audio files on its own server. Where playback is available, audio is accessed through links to third-party sources, and the respective content remains the property of its copyright owners.